

























Teetli ki tarah udta mann,
Panchi ki tarah chahkta mann,
Madmast hawa ki tarah lehrata mann,
Koyal ki kook ki tarah gaata mann,
Saat rangon mein ranga hua mann,
Khusboo ki tarah mehakta mann…..
Payaal ki jhankar ki tarah runjhun karta mann,
Sokh nadi ki tarah behta mann,
To kabhi chanchal jharne sa natkhat mann,
Kitne raaz chupata khud mein,
Kitni baatein kehta mann…..

Kabhi shaant to kabhi krodhit mann,
Kabhi udaas to kabhi harshit mann,
Kabhi tanha to kabhi aabaad mann,
Kabhi toot kar bikharta to kabhi khud hi judta mann,
Kabhi phoolon sa nazuk to kabhi chattan sa kathor mann…..

Mann ke hain ruup anek,
Ek ruup mein kab bandha hai mann,
Kab kiski hai suntan mann,
Bas apni hi karta mann…..

Sab ki yaad sanjoy khud mein,
Sab par pyaar lutata hardam,
KUCH AISA HAI MERA MANN.......
