
Sagar ki gehraiyon se jyadaa gehra hai tumhara pyaar,
Neele aasmaan ki unchaiyon se jyadaa uncha hai tumhara pyaar,

Mehakte hue phulon se jyadaa khusboodar hai tumhara pyaar,
Surya ki kirno se jyadaa chamakdar hai tumhara pyaar,

Fizaaon ki ranginiyon se jyadaa rangeen hai tumhara pyaar,
Koyal ki kook se jyadaa meetha hai tumhara pyaar,

Saat suron ke sangeet se jyadaa sureela hai tumhara pyaar,
Chaand ki chandni se jyadaa khoobsurat hai tumhara pyaar,

Oons ki boondon se jyadaa makhmaki hai tumhara pyaar,
Lehrati sokh pawan se jyadaa rumani hai tumhara pyaar………
Khushiyon se khil gayi hai zindagi meri paakar aisa pyaar tumhara,
Jeevan ki raahon mein ab hum chal rahe hain haathon mein thame haath tumhara,
Bas ab itni si hai dua meri ki kabhi na chute saath tumhara,
Mere liye to duniya ki har cheez se jyadaa beshkeemti aur anmol hai pyaar tumhara…………

