

Chaandni raat mein neele aakash tale haathon mein haath liye baithy thy hum tum,
Tumhary kandhy per tha mera sar aur hum chup-chap nihar rahy thy chaand ko honthon pe mand muskan liye.

Iss chuppi ko todte hue tumne kaha………
Iss madhur raat mein kyu naa khelein hum ek khel;
Main karunga sawal aur tum dena unke jawab,
Aur maine bhi haami bhar di.

To kaho aankhon mein kya hai??
Aankhon mein hai tasveer tumhari..
Seene mein kya hai??
Seene mein dil hai..
Dil mein kya hai??
Dil mein dhadkan hai..
Dhadkan mein kya hai??
Dhankan mein base ho tum jaan banker..
Saath dogi mera kahan tak??
Jitni yeh saanson ki taar hai..
Pyaar karti ho mujhse kitna??
Pyaar karti hun tumse itna jitna iss chaand pe taaron ka pehra hai..

Itna sunte hi kheech liya tumne hume apni baahon mein aur phir se chaa gayi khamoshi neele aakash tale………

